logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2007

Allahu akbar

Allahu akbar

(Allahu akbar Allahu akbar) x2

(Subhe aashoor zara sun azaan-e-akbar hai) x2

Laila ke phool ki
shakle rasool ki

Azaane aakhir hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(Ashhadu al-la illaha illallah) x2

Bol-e-Hussain sun kar takbeer ki sada ko
Bejang tumne Akbar jeeta hai karbala ko

Lehjaa ye Mustafa ka ab gunjta rahega

Jo tere lab par hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(Ashhadu anna Muhammadur rasoolullah) x2

Sar par kafan sajaaye hein sab ba sab namaazi
Sun kar azaan iqaamat kehne lage hein ghazi

Hein mutma'in imamat nazdeek hai shahadat

Ye subhe mehshar he

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

Ashhadu anna Alliyun Waliyullah

Ashhadu anna Alliyun Hujjatullah

Kya azm hosla hai ansar shah-e-dee(n) ka
He us taraf jafaayein sajda idhar yaqee(n) ka

Teeron ka abr barsa jaari hai phir bhi sajda

Ajeeb manzar hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar hai

(Allahu Akbar) x2

(Hayya Alas Salaah) x2

Jhoole mein sone waala bedaar hochuka he
Nusrat ko shah-e-dee(n) ki tayyar hochuka he

Maa kehrahi hai beta be teygh jang karna

Ye hukm-e-maadar he

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(Hayya Alal falaah) x2

Zainab bhi laadlon ko apne saja rahi hai
Ibn-e-Hasan ko farwa dulha banaa rahi hai

Naad-e-ali hai lab par sar par dua ki chaadar

Ye sheh ka lashkar hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(Hayya Ala Khairil amal) x2

Pyaason ko apni jaanib darya bulaa raha hai
Lekin har eik pyaasa maqtal ko jaa raha hai

Na khof hai na dar hai har ek ko ye khabar hai

Ye raahe kausar hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(Allahu Akbar) x2

"Rehan" ke qalam se "Irfan" tera lehja,
nowho(n) me dhal ke ubhre tute na ab ye rishta,
is par dua-e-zehra har dam kiye hai saya
ye aisa shaa'ir hai
Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(La illaha illallah) x2


HomebookmarkmybayaazSetting